ASHQ ANKHON KE APNE PIYE JA RAHE HAI HUM
DENE KO KHUSHI TUJHKO MUSKURA RAHE HAI HUM
ZULM APNE HAR PAL SATATE HAI HUME
AUR RAFTA EIN SHANSHON SE JHULASTE JA RAHE HAI HUM
SOCHTE THE, KI ZINDAGI KUCHH MUSARRAT LE KAR AYEGI
IES ZINDAGI KO BHI RISHTON KI TARAH NIBHA RAHE HAI HUM
JAAN BAQI HAI, HAR SAB NIKALTI HAI ZARA-ZARA
PHIR BHI LOGON PE JAISE SITAM DHA RAHE HAI HUM
IES KALAM KO HUMNE CHHUA HAI BADE DINO KE BAAD
ASHUON KO EIN KE ZARIYE BAS BAHA RAHE HAI HUM
NASREEN FARHANA (TaNhA)
No comments:
Post a Comment